DonkeyMails.com: No Minimum Payout

Monday, September 6, 2010

Beautiful Golden Sayings by Hazrat Ali A.S



" Alim Jahil Ka Haal Janta Hay Kyun K Wo Jahil Reh Chuka Hay,
Lekin Jahil Alim Ka Haal Nai Janta Kyun K Wo Alim Nai Raha "
 
Hazrat Imam Ali (A.S) 


Mujhe Es Duniya Se Kya Lena!
Jis K " Hallal " Mein
Hisab
Or " Haram " Mein Azaab Hai.  



Hazrat Imam Ali (A.S) 


"Apna Sar Ooncha Rkho k Tum Kisi Se Nhi Darty
Lekin Apni Nigahei'n Neechi Rkho
Ta k Pata Chaly k Tum Ek 

Ba-IzzaT Ghraney Se Ta'aluq Rakhty Ho"
 
Hazrat Imam Ali (A.S) 



"Khush-Ikhlaq Logon Se Khush-Ikhlaqi Se 
Pesh Aana Kamal Nahi.
Magar Baad-Ikhlaq Logon Se 

Khush-Ikhlaqi Se Paish Aana Kamal Hai"
 

Hazrat Imam Ali (A.S)  


"Mushkil Tareen Kaam Behtareen Logon K 
Hissay Mein Aaty hain,  Kyun K
Wo Usay Hall Karny Ki Salahiyat Rakhty Hyn" 



Hazrat Imam Ali (A.S) 


"Ache logo'n ki sohbat se bhalai haath aati hy,
Jese hawa jab khushbudar cheez k paas se 

guzrey tou khushbudar ho jati hai..."

Hazrat Imam Ali (A.S)  


" Nadan Log Dulat K Liye Dil Ka Chain Luta Dyte Hain 
Or Danish'Mand Dil K Chain K Liye Dulat Luta Dyte Hain" 

Hazrat Imam Ali (A.S)  


"Aye Suraj Gawah Rehna K Hamesha''ALI'' ny 
tujhy Ubhartay dekha hay Magar 
Tu Ny ''ALI''KO kabhi Sotay Nahi Paya"

Hazrat Imam Ali (A.S)  


"Azeem Hyn Wo Log Jo Shahadat Ka Intikhab Kerty Hyn
Lekin In Se Bhi AZEEM Wo Log Hyn 

Jin Ka Intikhab Khud Shahadat Kerti Hy"

Hazrat Imam Ali (A.S)  


"Momin" Ki Misal Tarazu Kay Palrey Jaisi Hai.
Jis Qadar Us k Emaan Ma Izaafa Hota Hai 

Utni Hi Uski Aazmaish Barhti Hai.." 

Hazrat Imam Ali (A.S)  


"Insaan Ka Nuqsaan Maal Aur Jaan Ka Chalay Jana Nahi,
Insan Ka Sab Se Bara Nuqsaan Kisi Ki Nazar Se Gir Jana Hai.
"

Hazrat Imam Ali (A.S) 

 

"Zndgi ko ZARORIAT mein rakho Khwaishat ki taraf na le jao,
Zaroriat Faqiro'n ki b PURI hoti hyn Aur
Khwahishat Badshaho'n ki b BAQI reh jati hyn"
 
Hazrat Imam Ali (A.S) 

"Soorat" aur "Seerat"
mein sab se bara farq ye hy k
Soorat "Dhoka" deti hy Jab k
Seerat "Pehchan" karati hy...!

Hazrat Imam Ali (A.S) 

"Sardio'n Ka Mausam Momin K Liye Bahaar Hy 
Is ki Lambi Raatei'n Ibadat k Liye Kafi Hyn 
Aur Chotey Din, Rozay K Liye Saazgar Hyn..."

Hazrat Imam Ali (A.S)

Reference:
Collected From Nahjul Balagha Book by Hazrat Ali A.S
and Translated into Roman English